Kabhi-kabhi main bahut pareshan ho jati hu….
Kabhi-kabhi main pareshan ho jati hu….
Khud se lad-jhagad kar bhi so na pati hu…
Kabhi-kabhi main pareshan ho jati hu….
Likhne ka dil to krta hai dil ki baate…
Par dil tak jate-jate, kalam se hi lad-jhagad kar kahin kho jati hu…
Kabhi-kabhi smjh nhi aata ki mai kahan hu???
Kabhi-kabhi yakin nhi hota ki main yahan hu….
Jab khwabon se rishte dhoondle hue jate hai…
Tab lagta hai ki main jo bhi hu bewajah hu…
Kabhi-kabhi aankhon ko khwab nhi bhate…
Zindagi ke tane-bane samjh nhi aate…
Kabhi-kabhi muskurana bhi bahut lagta hai bhari….
Par palke aansu bhi nikal nhi pate…
Kabhi-kabhi gussa aata hai mere ayal par…
Sbse keh deti hu mujhe rhne do mere haal par…
Zindagi ke kadam badhte to hai meri taraf…
Par phir kbhi-kbhi wo tamache se padte hai mere gaal par…
Kabhi-kabhi mere halaat bahut ulajh se jate hai…
Duniyadari ki aahat se phir mere armaan jhulas se jate hai…
Main iss tarah door krne lag jati hu, khud ko khud se….
Ki phir mujhse kagaj-kalam milne ko taras jate hai…
Kabhi-kabhi lagta hai ki mai kuchh kar nahi sakti…
Mano saanse bhi khud se main bhar nhi sakti…
Pukaar lagati rehti hu kewal apne ant ko….
Par wo samne bhi ho khda to bhi mai mar nahi sakti…
Kabhi-kabhi khud se hi umeed bojh si lagti hai mujh par…
Kabhi-kabhi khud ki hasi namkeen si lagti hai mere ghav par…
Shayad Aankho ko sirf meri tabahi ke siwai aur kuch dikhta hi nhi…
Meri tabahi wakai bahut haseen lagti hai…
Kabhi-kabhi main pareshan ho jati hu…
Raat bhar sakoon ki nind paane ke liye….